Robert Kiyosaki Apni sabse jyada bikne wali kitab ke karan jaane jaate hai inhone uske series ke rup me kai kitabe likhi hai aaj mai sabhi ko yaha shart list karne wala hu jinhe aap padhkar apne life me hone wali financial problem se nijat pa sakte hai. Dosto bahut se log apne life me paiso ki samsya se jujhte rahte hai aur aapko jankar hairani hogi ki jo log moti salary pate hai unke life me bhi paise ki hamesa killat bani rahti hai aur yah kaise hota hai aur iss problem ka solution kya hai in sabhi kitabo me Detail me bataya gaya hai. 3- Guide to Investing Agar Aap upar ki do kitabo ke baare me detail me jaan jayenge to aapko investment ki mahatta ka pata chal jayega aur fir aap yah kitab guide to invest padhkar investment ke prati apne gyan ko badha sakte hai vaise isame Author ne apne life me aane wale utar chadav ko jo ki unhe ek safal investor banane me aayi un sab ke baare me detail me bataya hai.
Detail me Padhne Ke liye Yah Click Kare – 4- Business School Business School Kitab ko likhne ka idea Author ko mile ek patra se aaya tha kyoki usame puchha gaya tha ki mere paas paise to nahi hai fir mai business kaise kar sakta hu. To uski ke javab me inhone yah kitab likhne ki sochi ki yah kai logo ka sawal ho sakta hai aur uss patra ko unhone uss book ke starting me hi diya hai. Detail me Padhne Ke liye Yaha Click Kare – Business School 5- Rich Retire Young Retire Iss kitab me Author ne jaldi retire ho jaane ke baare me bataya hai ki aap apne life me jald retire kaise ho sakte hai aur paise kamane ke jhanjhat se chhutkara pa sakte hai matlab author ka manana hai ki log budhe ho jaane par hi retire hote hai lekin life ka asli maja to tab hai jab javani me hi retire ho jaye aur fir ais kare. Detail me Padhne Ke liye Yaha Click Kare – To yah Collection Aapko kaisa laga inki kitab ke baare me aapka kya vichar hai hame commnet me bata sakte hai aur ise apne dosto ke sath share karna na bhule apne family ke logo se bhi share kare isase unhe ek madad milegi.